puchhega jo wo rashk-e-qamar haal hamara

puchhega jo wo rashk-e-qamar haal hamara
ai 'mehr' chamak jaega iqbaal hamara

saude mein teri zulf ke likhte hain jo ashaar
hota hai siyah nama-e-amal hamara

abru ka ishaara kiya tum ne to hui id
ai jaan yahi hai mah-e-shawwal hamara

har bar dikhata hai junun khana-e-zanjir
is ghar mein guzara hua har sal hamara

aate hi wo kahte hain ki jate hain bas ab hum
be-chain hain mangwaiye sukh-pal hamara

mazmun na bandha mu-e-kamar ka to wo bole
tedha na hua shairon se baal hamara

mahtab se kahta hai mera chand ka tukda
rukhsar tera saf hai ya gal hamara

tum arsh hilate ho qadam rakh ke zamin par
is chaal se dil ho gaya pamal hamara

ek pal bhi juda dida-e-tar se nahin hota
ab aankh ka parda hua rumal hamara

yan ruh pe hota hai us aawaz ka sadma
ji lega shab-e-wasl mein ghadiyal hamara

yan ganj-e-maani hai to wan sim-o-zar ai 'mehr'
daulat wo bakhilon ki hai ye mal hamara


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close