poshak-e-siyah mein rukh-e-jaanan nazar aaya shab ko hamein khurshid darakhshan nazar aaya dekha na kahin kufr na iman nazar aaya hindu koi paya na musalman nazar aaya malbus-e-siyah mein rukh-e-jaanan nazar aaya zulmat mein yan chashma-e-haiwan nazar aaya baalon mein chhupa chehra-e-jaanan nazar aaya parda mein yahan kufr ke iman nazar aaya phir josh-e-junun silsila-e-jumba nazar aaya phir be-sar-o-samani ka saman nazar aaya pariyan jise kandhe pe uthati thin hamesha barbaad wo aurang-e-sulaiman nazar aaya bain-hama wusat bhi hai kya khwan-e-falak-tang aasuda na us ka koi mehman nazar aaya aankhon ke tale phir gaya wo aahu-e-shahri jangal mein jo aahu-e-bayaban nazar aaya majma mein raqibon ke khula tha tera joda kal raat ajab khwab-e-pareshan nazar aaya jis dasht mein phute hain mere aabla-pa koson wahi sarsabz-e-nistan nazar aaya ta-sal-e-digar mai ki khurd zinda ki mand mah-e-ramzan saqi-e-dauran nazar aaya diwana hun par kaam mein hoshiyar hun apne yusuf ka khayal aaya jo zindan nazar aaya shokh-e-mizha-e-bargashta ki dekhi nigah-e-qahr aahu bhi mujhe sher-e-niystan nazar aaya mayus phiri aati hain kyun meri duaen kya bab-e-ijabat pe bhi darban nazar aaya main zar-e-mah-e-nau hun ki us ne mujhe ai 'mehr' jab ghaur se dekha to kaha han nazar aaya