pujne wale sabhi log hain farzane ko

pujne wale sabhi log hain farzane ko
puchhta kaun hai is shahr mein diwane ko

guftugu kucha-o-bazar ki le aate hain
jaane kya log samajhte hain khuda-khane ko

main banaya gaya isar-o-wafa ki khatir
teri takhliq hui zulm-o-sitam dhane ko

hum se zi-fahm un aankhon ki piya karte hain
na-samajh log chale jate hain maikhane ko

tum se bigdi hui taqdir hamari na bani
hum to gulzar bana dete hain virane ko

apni khatir koi saughat na mangi us ne
khat mein likkha hai mujhe laut ke aa jaane ko

us ne 'anjum' lab-o-rukhsar ki ranai se
de diya rang-e-haqiqat mere afsane ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close