sab hain muhtaj faqat ek khuda deta hai mang ke dekh wo daman se siwa deta hai dil to phir dil hai wo patthar ko jala deta hai jis ko chhu deta hai aaina bana deta hai main ki virane mein ek phul khilane se raha wo ki sahra ko bhi gulzar bana deta hai dil wo pagal hai ki rota hai to rote rote qatra-e-ashk ka ambar laga deta hai phuns ka ghar hai mere ganw ke andar sab ka bujhte shoalon ko yahan kaun hawa deta hai mujh ko angur ki beti se wo hasil na hua teri aankhon ka tasawwur jo nasha deta hai sar hatheli pe liye qasd-e-safar lazim hai hausla su-e-yaqin badh ke sada deta hai tham gai nabz meri sans ki lai laut gai chaaragar chhod de bekar dawa deta hai rag dipak mein sunata hai ghazal jab 'anjum' apni aawaz se wo aag laga deta hai