rahraw-e-rah-e-kharabaat-e-chaman aa ki phir ek bar ho ja kohkan tesha-e-azm-e-jawan daman mein rakh tu sawar-e-shauq-e-sultani mein fan koi saya zindagi ka gar mile chaak-e-gul ho kar pahan lena kafan didani hai us ke hathon mein inan shahr mein bante hai jo maghrib ka dhan aa utha phir saghar-o-mina chalen phir se ho jae wo pahle sa sukhan jis mein thi tah-dari-e-mansuriyat wo anal-haq ka kahan hai bankpan