puri tarah se ab ke tayyar ho ke nikle hum chaaragar se milne bimar ho ke nikle jadu-bhari jagah hai bazar tum na jaana ek bar hum gae the bazar ho ke nikle mitti ke raston pe utre imaraton se wapas imaraton ke aasar ho ke nikle apni haqiqaton ko jangal banaya hum ne aur phir kahaniyon ke kirdar ho ke nikle aakhir ko zindagi ke qadmon mein bichh gae hum aur us ki thokaron se hamwar ho ke nikle mashuq ne kara di kya sulh aashiqon mein sare raqib aae aur yar ho ke nikle ye shakhs farhat-'ehsas' aisi buri bala hai hum us ke sath rah kar be-kar ho ke nikle