tu subh-dam na naha be-hijab dariya mein padega shor ki hai aaftab dariya mein chalo sharab piyen baith kar kinare aaj ki howe rashk se mahi kabab dariya mein tumhaare munh ki safai o aab-dari dekh baha hai sharm se moti ho aab dariya mein main is tarah se hun mehman sara-e-duniya mein ki jis tarah se hai koi hubab dariya mein jahan ke bahr mein har mauj bujh sail-e-fana bana na ghar ko tu khana-kharab duniya mein kabhu jo aalam-e-masti mein tum ne ki thi nigah bajae aab bahe hai sharab dariya mein main aab-e-chashm mein hun gharq mujh ko nind kahan kahin kisu ko bhi aaya hai khwab dariya mein agar hai ilm jo tujh ko amal ke dar pe ho wagarna shaikh duba de kitab dariya mein sanam ki zulf ki lahron ke rashk se 'hatim' nahin ye mauj ye hai pech-o-tab dariya mein