shamim-e-gesu-e-mushkin-e-yar lai hai saba uda ke payam-e-bahaar lai hai kisi urus-e-shabistan-e-alf-laila ka chura ke ek nafas-e-mushk-bar lai hai jo rahrawan-e-tariq-e-talab hain un ke liye ghubar-e-manzil-e-shahr-e-nigar lai hai kaho ki dida-o-dil ke liye nasim-e-sahar payam-e-ghamza-e-alam-shikar lai hai kaho ki khirman-e-jaan ke liye shamim-e-bahaar salam-e-shoala-o-barq-o-sharar lai hai jo zairin-e-harim-e-wafa hain un ke liye nawed-e-rahmat-e-parwardigar lai hai watan ki yaad kisi be-dayar ki khatir watan se muzda-e-ahl-e-dayar lai hai