rahin-e-khwab-e-gum-gashta hamare samne mat aa jahan bhar mein ho warafta hamare samne mat aa dhamake se udate jaenge ab rah ki har shai banane de hamein rasta hamare samne mat aa tasadum ke alawa an-ginat zimni masail hain teri hasti se wabasta hamare samne mat aa nawah-e-chashm ka mausam badalna hai taawun kar yahi bas ek do hafta hamare samne mat aa munafiq phul bhi lae to kante sath aate hain utha apna ye guldasta hamare samne mat aa khudara cameron aur aainon se mazarat kar li hamare aks-e-ru-khasta hamare samne mat aa hamare samne phaile sawalon se bhare naqshe tujhe kar denge khud-rafta hamare samne mat aa agar tu samne aaya to khul jaenge pushtare hamein rahne de lab-basta hamare samne mat aa gharaz-dari ki khar-awar mohabbat-khor belen hain tere paikar se paiwasta hamare samne mat aa hamein pahle qadam se ilm hai ye dhul kis ki hai aqab mein hai tera dasta hamare samne mat aa kabhi wo samne aae to hum hat bhi nahin sakte kahe jate hain bar-jasta hamare samne mat aa