tumhaari wapsi hone ka andaza na ho jae kahin bikhri hui mitti tar-o-taza na ho jae farishton tum ne be aawaz andeshe nahin dekhe yahi diwar aage badh ke darwaza na ho jae badi khwahish hai phir se zindagi hamwar karne ki magar us se kahin mismar shiraaza na ho jae abhi tak to natija bhi pas-e-diwar hai jaanan teri is mahwiyat se kal ka andaza na ho jae shabahat pe adakari asar-andaz hoti hai abhi tak to ye chehra hai kahin ghaza na ho jae