zer-e-naqab aab-gun hae-re un ki jaliyan hum ko to bas dubo gain nil ke katre waliyan tegh jo rakkhi san par sudh jo sambhaali us ne tuk wazaen nai tarashiyan tarzen nai nikaliyan hum pe to barse subh tak khanjar o tegh o tir hi abr-e-bala se kam nahin hijr ki raaten kaliyan shole ki jun madad kare dud-e-nakhast-e-khar-o-khas missi se aur dhuan huin honton ki us ki laliyan mu-kamaran-e-bagh-e-husn lachken jo misl-e-shakh-e-bed dil ko na kyun hilawen phir un ki ye nau-nahaaliyan ek sharar-e-ah ka meri bais-e-shor-o-shar hua jugnu ko dekh jis tarah ladke bajawen taliyan sahib-e-neamat is tarah rahte hain sab se surkh-ru su-e-zamin jhuki rahen mewe ki jaise daliyan kis se padhawe koi khat insha hi jis ka ho ghalat yani ki us ne be-nuqat bheji hain likh ke galiyan kunj-e-qafas mein bagh se aae the jo nae asir sauten unhon ki sari raat mere jigar mein saliyan 'mushafi' us ki bazm mein bhuke hain naz ke jo log galiyon ki jagah unhon milti hain kya sahaaliyan