qadam-e-KHush-badanan shoabda-gar hai ki nahin

qadam-e-khush-badanan shoabda-gar hai ki nahin
ye zamin-lala-rukh-o-kisht-e-guhar hai ki nahin

dekhiye rang-e-hina ru-e-shafaq josh-e-bahaar
tair-e-khwab to hai tab-e-safar hai ki nahin

be-sabab main nahin tasir-e-nazar ka qail
zakhm ghuncha-sifat-o-shakh-e-samar hai ki nahin

teri aawaz kalid-e-chamanastin hai magar
sina-e-nai mein gudaz-e-gul-e-tar hai ki nahin

dekhne jaun qad-o-ariz-o-gesu-e-sanam
sochta hun ki koi rah-o-mafar hai ki nahin

sar patakti hui ek mauj ne dariya se kaha
aab-e-asuda-e-dariya mera ghar hai ki nahin

zor-e-amwaj-e-talatum se hai dariya dariya
harf-e-be-sud ki dariya mein guhar hai ki nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close