uttha hun ek hujum-e-tamanna liye hue duniya se ja raha hun main duniya liye hue muddat se garche jalwa-gah-e-tur se khamosh aankhen hain ab bhi zauq-e-tamasha liye hue duniya-e-arzu se kinara to kar ke dekh duniya khadi hai daulat-e-duniya liye hue roz-e-azal se ishq hai nakaam-e-arzu dil hai magar hujum-e-tamanna liye hue ai kam-nigah dida-e-dil se nigah kar har zarra hai haqiqat-e-sahra liye hue hasti ki subh kaun si mahfil ka hai maal aankhen khuli hain hasrat-e-jalwa liye hue din-bhar meri nazar mein hai wo yusuf-e-bahaar aati hai raat khwab-e-zulekha liye hue dil phir chala hai le ke tere aastan ki samt apni shikastagi ka sahaara liye hue wo din kahan ki thi mujhe jine ki aarzu phirta hun ab to dil ka janaza liye hue