qadam to rakh manzil-e-wafa mein bisat khoi hui milegi wahin kahin naqsh-e-pa ki surat padi hui zindagi milegi milegi han rang mein khizan ke bahaar dubi hui milegi talash kar khar-zar-e-gham mein koi to kopal hari milegi charagh-e-sajda jala ke dekho hai but-kada dafn zer-e-kaba hudud-e-islam hi ke andar ye sarhad-e-kafiri milegi habab ashkon ke dhaalta ja kamal-e-shisha-gari dikha tu tujhe inhin nazuk aabginon mein dil ki taswir bhi milegi hudud-e-dair-o-haram se hat kar jhuka jabin-e-niyaz apni gharaz se jab be-niyaz hoga to ujrat-e-bandagi milegi falak par ek chand id ka roz dekhne ko kahan se laun nazar ki sar-mastiyan na puchho kahin sar-e-baam hi milegi utha bhi ab parda-e-takalluf sama bhi ja dil mein dard ban kar rahunga kab tak main yunhi behis kabhi mujhe zindagi milegi hai jor-e-sayyaad hi ka sadqa chaman ki hangama-afrini tabahiyan jis jagah pe hongi wahin kahin zindagi milegi wahi lab-e-khushk par kuchh aahen wahi un aankhon mein kuchh nami si mujhe muqaddar se jab milegi mata-e-be-maigi milegi rahen salamat satane wale ye hashr to roz hoga barpa 'siraj' lekin sitam-rasidon ki sabr ki dad bhi milegi