tujh jaisa ek aanchal chahun apne jaisa daman dhundun maile maile shoala dekhun pani aangan aangan dhundun ye komal dharti kya mere bhaari dukh ka bojh sahegi udhar idhar lakhon duniyaen kyun na koi aur aangan dhundun aisa bhi kya pyar ki jis se kul duniya pili pad jae kesar aanchal aanchal dekhun haldi daman daman dhundun isi aam ki kokh se ek din mera bhola-pan upja tha isi aam ki jaden khod kar ek din apna bachpan dhundun tum se kya tum bhes badal kar baith raho hansmukh chehron mein main aankhon mein aansu bhar kar sahra sahra ban ban dhundun yaro mere pagal-pan ka sach-much koi ilaj nahin hai nim nim par koyal chahun kikar kikar jaman dhundun man liya dil bas mein nahin hai phir bhi jina to hoga hi ya ab apna tan bisra dun ya phir aur koi tan dhundun