use bechain kar jaunga main bhi khamoshi se guzar jaunga main bhi mujhe chhune ki khwahish kaun karta hai ki pal bhar mein bikhar jaunga main bhi bahut pachhtaega wo bichhad kar khuda jaane kidhar jaunga main bhi zara badlunga is be-manzari ko phir us ke baad mar jaunga main bhi kisi diwar ka khamosh saya pukare to thahar jaunga main bhi pata us ka tumhein bhi kuchh nahin hai yahan se be-khabar jaunga main bhi