qadam uthe to gali se gali nikalti rahi nazar diye ki tarah chaukhaton pe jalti rahi kuchh aisi tez na thi us ke intizar ki aanch ye zindagi hi meri barf thi pighalti rahi saron ke phul sar-e-nok-e-neza hanste rahe ye fasl sukhi hui tahniyon pe phalti rahi hatheliyon ne bachaya bahut charaghon ko magar hawa hi ajab zawiye badalti rahi dayar-e-dil mein kabhi subh ka gajar na baja bas ek dard ki shab sari umr dhalti rahi main apne waqt se aage nikal gaya hota magar zamin bhi mere sath sath chalti rahi