sapnon mein raat aai nazuk jo phul wali

sapnon mein raat aai nazuk jo phul wali
qadmon mein tare bikhre lahrai dil ki dali

us ke siwa nahin hai ismat ka kuchh tasawwur
khud husn goya apne rang-rup ki hai jali

jis ke salone mukh par tan ware bhor apna
us se milan ki aai shubh raat kali kali

dharti pe surkh ho kar utre nae sawere
zinat bani falak ki mere lahu ki lali

nazuk hain ghuncha-o-gul in ka khayal rakhna
kahta yahi hai sab se bagh-e-jahan ka mali


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close