rukte hue qadmon ka chalan mere liye hai sayyara-e-hairat ki thakan mere liye hai koi mera aahu mujhe la kar nahin deta kahte to sabhi hain ki khutan mere liye hai tap si mujhe aa jati hai aaghosh mein us ki wo barf ke gale sa badan mere liye hai hain ju-e-tab-o-tab pe anwar ke pyase aur sham ka ye sanwala-pan mere liye hai qandhaar na kabul na yaman mere liye hai mitti ke ujadne ki chubhan mere liye hai barut mein bhunte hue alfaz o mafahim ab to yahi taswir-e-sukhan mere liye hai duniya hi nahin khud se khafa rahta hun 'arshad' jine ka ye andaz hi fan mere liye hai