shikayat-e-sitam-e-rozgar karta hun khizan ke daur mein zikr-e-bahaar karta hun hazar rang se tu de raha hai mujh ko fareb magar main phir bhi tera eatibar karta hun chaman se mujh ko bas ab is qadar talluq hai khayal-e-amad-e-fasl-e-bahaar karta hun na raaz fash ho mera tasawwur-e-jaanan main dard-o-gham ka tujhe raaz-dar karta hun sahar qarib hai tare bhi jhilmilate hain ab aa bhi ja ki tera intizar karta hun