tum shujaat ke kahan qisse sunane lag gae jitne aae the jo duniya thikane lag gae ud rahi hai shahr ke sare gali kuchon mein khak jitne aashiq the wo sab khane-kamane lag gae rengti karen ubalti bhid be-bas raste kal mujhe ghar tak pahunchne mein zamane lag gae us ne hum par ek mohabbat ki nazar kya dal di hath jaise hum gharibon ke khazane lag gae umr bhar karte rahe hum ek kuche ka tawaf ek sae ke taaqub mein zamane lag gae zindagi dene lagi parhez-gari ka sabaq ab to hum jaise bhi sabzi dal khane lag gae