teri rahmat ke sahaare tere pale hue log shahr-e-be-mehr mein sazish ke hawale hue log tujh ko is baat ka andaza nahin ho sakta kaise jite hain tere dil se nikale hue log sab ne manga tha jise us ko nahin manga tha aur manga tha jise us ke izale hue log isi dariya pe udasi ka badan chumte hain aakhir-e-shab tere darwaze se tale hue log aasmanon mein uda karte the itraate the ek ek karke zaminon ke niwale hue log dukh banate hain bana kar mere pas aate hain apne purkhon ki riwayat sanbhaale hue log raat-din dard ki dahliz pe aate-jate jite ji maut ki chaukhat ke hawale hue log