raaz-e-hasti tishna-e-tabir hai tere baghair zindagi taqsir hi taqsir hai tere baghair zist ki har kaamyabi bhi meri nazron mein khak ek be-buniyaad si tamir hai tere baghair jis ko hona chahiye tha taza-dam kaliyon ka haar wo nafas ka silsila zanjir hai tere baghair han wahi lab jo tabassum ka khazana tha kabhi aaj rehn-e-nala-e-shab-gir hai tere baghair dil ki haalat hai ki jaise ek tilism-e-be-kalid har tamanna harf-e-be-tabir hai tere baghair ho nahin pati koi aasan si mushkil bhi sahl kund sa har nakhun-e-tadbir hai tere baghair chand barsata hai jab raaton ko amrit ki phuwar han usi ki har ladi ek tir hai tere baghair raushni us ke kisi rukh par bhi aa pati nahin zindagi dhundli si ek taswir hai tere baghair aa agar begana-e-ehsas tera dil nahin tera 'mulla' khasta-o-dil-gir hai tere baghair