raaz ye mujh pe aashkara hai ishq shabnam nahin sharara hai ek nigah-e-karam phir us ke baad umr bhar ka sitam gawara hai raqs mein hain jo saghar-o-mina kis ki nazron ka ye ishaara hai aisi manzil pe aa gaya hun jahan tere gham ka hi ek sahaara hai laut aae hain yar ke dar se waqt ne jab hamein pukara hai dil na tute to zarra-e-nachiz kimiya hai jo para para hai jam-e-rangin mein un ka aks-e-jamal ya shafaq mein koi sitara hai naw tukde hui hai tufan se ab to murshid ka hi sahaara hai ishq karna hai mat kha jaana us mein jita hua bhi haara hai apne darshan pe ek nigah-e-karam wo gham-e-zindagi ka mara hai