qaid-e-gham-e-hayat se hum ko chhuda liya achchha kiya ki aap ne apna bana liya hone diya na hum ne andhera shab-e-firaq bujhne laga charagh to dil ko jala liya duniya ke pas hai koi is tanz ka jawab diwana apne haal pe khud muskura liya kya baat thi ki khalwat-e-zahid ko dekh kar rind-e-gunahgar ne sar ko jhuka liya chup hun tumhaara dard-e-mohabbat liye hue sab puchhte hain tum ne zamane se kya liya na-qabil-e-bayan hain mohabbat ki lazzaten kuchh dil hi jaanta hai jo dil ne maza liya roz-e-azal padi thi hazaron hi nematen hum ne kisi ka dard-e-mohabbat utha liya badhne lagi jo talkhi-e-gham-ha-e-zindagi thoda sa baada-e-gham-e-jaanan mila liya waqif nahin giraft-e-tasawwur se wo 'shamim' jo ye samajh rahe hain ki daman chhuda liya