qaid hue jo log apni man-mani mein

qaid hue jo log apni man-mani mein
dekh rahe hain dushwari aasani mein

ilm sahifa kya de padhne walon ko
waqt to guzra sirf waraq-gardani mein

aag mein jhonkenge wo apni mehnat ko
rai ki kheti jo karte hain pani mein

panch pahar ki sajda-rezi hai lekin
nur-kusha aasar nahin peshani mein

gharq wo hoga dariya mein ya tairega
phenk ke pahle patthar dekho pani mein

gupt dhanon ka haal bataya choron ko
log wahi jo chaukas the nigarani mein

aankh khuli jo subh sawere to 'nadim'
ghor andhera bhi dekha tabani mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close