rah jis ne chali ghafilon ki tarah qatl bhi wo hua buz-dilon ki tarah teri yaaden tasawwur ko jab mil gain meri khalwat saji mahfilon ki tarah dhundte hain sarabon mein kya tishna-lab dasht hota nahin sahilon ki tarah mom ban kar wo hargiz pighalte nahin sakhtiyon mein jo dil hain silon ki tarah roghan ikhlas ka rang lane laga main nichoda gaya jab tilon ki tarah ye hai sach teri furqat ne mohlat na di shab guzari magar wasilon ki tarah sar mein sauda-e-sar ho agar jaan-e-man mushkilen bhi nahin mushkilon ki tarah kuchh jawab ahl-e-dil ke sawalon ka den baat karte hain jo aaqilon ki tarah qurbat un ki fareb-e-safar de gai dur se jo lagen manzilon ki tarah ek muqaddas sahifa meri shaeri jis ko padhte ho tum nowelon ki tarah mere afkar 'nadim' tan-asan nahin yun to lagta hun main kahilon ki tarah