rang khushbu na sada hun tere kis kaam ka hun tu hi khud soch main kya hun tere kis kaam ka hun ham-nafas qarya-e-pur-nur ke rahne wale ek maddham sa diya hun tere kis kaam ka hun main zarurat tha magar teri tamanna to nahin kyun tera sath nibhaun tere kis kaam ka hun teri marzi mera masraf to nikale jo bhi main to ye jaanna chahun tere kis kaam ka hun tera maslak hi ye hangama-e-hasti hai magar main ki mahrum-e-nawa hun tere kis kaam ka hai tu jo us par khada hai to mujhe kya 'tariq' main jo is par khada hun tere kis kaam ka hun