qarar dida-o-dil mein raha nahin hai bahut

qarar dida-o-dil mein raha nahin hai bahut
nazar-nawaz mere koi gul surin hai bahut

rakha na ho kisi khwahish ne sar ba-khun is ko
tumhaara hont kai din se aatishin hai bahut

mila nahin hai mujhe wo magar pata hai mujhe
wo dusron ke liye bhi bacha nahin hai bahut

khula na ek bhi dar sar-kashidgi pe meri
hua hun khak to daman-kusha zamin hai bahut

rakha hua tha sar-e-taq-e-dil ek aaina
bahut dinon se koi aaina-nashin hai bahut

tumhaara husn hi shoala-faza nahin hai mujhe
mera lahu bhi kai din se aatishin hai bahut

main lahr lahr use jism-o-jaan pe odhta hun
ghilaf aisa tera lams-e-makhmalin hai bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close