qarar dil ka ye kahe ko dhang tha aage hamare chehre ke upar bhi rang tha aage uthaen tere liye bad-zabaniyan un ki jinhon ki hum ko khushamad se nang tha aage hamari aahon se sine pe ho gaya bazar har ek zakhm ka kucha jo tang tha aage raha tha shama se majlis mein dosh kitna farq ki jal bujhe the ye hum par patang tha aage kiya kharab taghaful ne us ke warna 'mir' har ek baat pe dushnam-o-sang tha aage