zulf agar dil ko phansa rakhti hai aankh pardon mein chhupa rakhti hai sath fahmidgi gar howe to phir but-parasti bhi maza rakhti hai chahchaha rang mere khun ka sa tere panw ki hina rakhti hai aarsi hoti hai sanmukh tere kuchh bhi aankhon mein haya rakhti hai kar diya us ne to mujh ko madhosh kis ki bu baad-e-saba rakhti hai khak-e-dehli ki zara sair to kar ki ajab aab-o-hawa rakhti hai hae tikhi nigah us kafir ki kya kahun main jo ada rakhti hai teri taswir ko le kar shirin apni chhati se laga rakhti hai jab talak aawe hai tu phir ke ye chaal khak mein mujh ko mila rakhti hai aarsi se na karo kaj-nazari is ka tum se wo gila rakhti hai aah meri hai asar se ham-dosh tal-e-zulf-e-rasa rakhti hai kya hai taqsir jo hum ko tujh se gardish-e-charkh juda rakhti hai jhuk pade hai teri pa-bosi ka zulf bhi shauq-e-bala rakhti hai gosht aur post bhi gal jata hai jism ke bich ye kya rakhti hai 'mushafi' nam hai jis chiz ka chah aadmi ko to khapa rakhti hai