ye moajiza bhi kisi ki dua ka lagta hai ye shahr ab bhi usi bewafa ka lagta hai ye tere mere charaghon ki zid jahan se chali wahin kahin se ilaqa hawa ka lagta hai dil un ke sath magar tegh aur shakhs ke sath ye silsila bhi kuchh ahl-e-riya ka lagta hai nai girah nae nakhun nae mizaj ke qarz magar ye pech bahut ibtida ka lagta hai kahan main aur kahan faizan-e-naghma-o-ahang karishma sab dar-o-bast-e-nawa ka lagta hai