qarz-e-jaan se nimat rahi hai hayat us ki jaanib palat rahi hai hayat rafta rafta ghata chhate jaise bas isi tarah chhat rahi hai hayat chehra pahchan tak nahin pati gard mein itni at rahi hai hayat jaise suraj ghurub hota hai phail kar yun simat rahi hai hayat kitne manzar hain ek manzar mein kitne hisson mein bat rahi hai hayat koi us ko badha na paya 'adil' lamha lamha jo ghat rahi hai hayat