rah-e-hayat mein jo log jawedan nikle wahi wafa-o-mohabbat ke tarjuman nikle ajib sehr ka aalam tha us ki mahfil mein zaban pe naz tha jin ko wo be zaban nikle wahan wahan pe wafa-dariyon ka zor badha tumhaare chahne wale jahan jahan nikle safar ki hasraten niklin bahut meri yarab magar jo dil mein the arman wo kahan nikle aziz yun to bahut hain aziz kya kahiye kai aziz magar mujh se bad-guman nikle yaqin bahut tha mohabbat pe tum ko apni 'adil' yaqin ke badle wahan bhi faqat guman nikle