qasid us ka payam kuchh bhi hai kah dua ya salam kuchh bhi hai sukhan-e-mehr-khwah harf-e-itab us ke munh ka kalam kuchh bhi hai saf ya durd-e-baada-e-gul-gun saqi-e-lala-fam kuchh bhi hai kya gham-e-hijr kya surur-e-visal guzaran hai dawam kuchh bhi hai us rukh o zulf se ki dun tashbih khubi-e-subh-o-sham kuchh bhi hai yaad mein apne yar ke rahna behtar aur us se kaam kuchh bhi hai tu jo 'bedar' yun phire hai kharab pas-e-namus-o-nam kuchh bhi hai