qubul tha ki falak mujh pe sau jafa karta par ek ye ki na tujh se mujhe juda karta karun hun shad dil apna tere tasawwur se agar ye shaghl na hota to kya kiya karta safed safha-e-kaghaz kahin na phir rahta agar main jaur-o-jafa ko teri likha karta hina ki tarah agar dastaras mujhe hoti to kis khushi se tere panw mein laga karta gham-e-firaq gar aisa main jaanta 'bedar' to apne dil ko kisi se na aashna karta