rihai pa na saka sar-phiri hawaon se main tamam umr ulajhta raha sadaon se main lagega waqt zara aankh kholne mein mujhe nikal ke aaya hun tarik-tar guphaon se main hai meri pith pe ek hath hausla deta sawal hi nahin ghabraun ibtilaon se main sukun waqt ke sahra ko par kar ke mila rihai pa gaya lamhon ki dhup-chhanw se main kisi ke hath sahaara jo ban gae hote to do qadam bhi na chal pata apne paon se main har ek gham ke samundar ko jast-e-wahid se ubur karta hun ai man teri duaon se main ye sang-zar mari guftugu samajhte hain kalam karta hun ai 'nur' be-nawaon se main