qatar jugnuon ki raushni lutati rahi main rang gundh ke titli ke par banati rahi rakha tha sui ki tik-tik pe ek dhadakta dil yahi tamasha ghadi hath ki dikhati rahi main chandni ki saheli wo chand bhai mera tamam din yahi aawaz kan khati rahi ghisa-pita kahin kuchh intizar rota raha hawa ko dekho khadi sitiyan bajati rahi wo thap dhol ki kuchh aur tez hoti gai khamoshi baithi mere pas gungunati rahi wo ek ladka sa lipta hua charagh ke sath diya-salai meri ungliyan jalati rahi falak ki khunti se tanga hua tha ek khayal zamin pe baithi teri baat muskuraati rahi main barf-bari mein nikli thi aag sulgane wo nannhi titli mere panw jab dabaati rahi qarib lane ki targhib dene wale dekh teri khushi mein meri zindagi bhi jati rahi