rukh-e-nigar se hai soz-e-jawidani-e-shama hui hai aatish-e-gul aab-e-zindagani-e-shama zaban-e-ahl-e-zaban mein hai marg-e-khamoshi ye baat bazm mein raushan hui zabani-e-shama kare hai sarf ba-ima-e-shoala qissa tamam ba-tarz-e-ahl-e-fana hai fasana-khwani-e-shama gham us ko hasrat-e-parwana ka hai ai shoale tere larazne se zahir hai na-tawani-e-shama tere khayal se ruh ehtizaz karti hai ba-jalwa-rezi-e-baad-o-ba-par-fishani-e-shama nashat-e-dagh-e-gham-e-ishq ki bahaar na puchh shaguftagi hai shahid-e-gul-e-khizani-e-shama jale hai dekh ke baalin-e-yar par mujh ko na kyun ho dil pe mere dagh-e-bad-gumani-e-shama