qaza ke tir jab jab abru-e-qatil se nikle hain

qaza ke tir jab jab abru-e-qatil se nikle hain
jazak-allah ke nare dil-e-bismil se nikle hain

kuchh aise kaam mere jazba-e-kaamil se nikle hain
wo mere sath hi hangama-e-mahfil se nikle hain

fazaen gunjti hain aur fitrat raqs karti hai
kuchh aise dard ke naghme hamare dil se nikle hain

jale hain dost bhi dushman bhi parwane bhi shamen bhi
gharaz sab khak kar ke aap ki mahfil se nikle hain

mohabbat ibtida apni mohabbat intiha apni
usi manzil ko jaana hai usi manzil se nikle hai

zamin-e-sang se gul-ha-e-naghma ki tawaqqo kya
bade aasan misre bhi badi mushkil se nikle hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close