shahr mein insaf kya achchha hua aap sachche aur main jhuta hua ho gaya wo be-niyaz-e-do-jahan ai khayal-e-yar jo tera hua rang-e-rukh hai tarjuman-e-wasl-e-ghair zulf-e-barham se to puchho kya hua tham zara ai dida-e-khun-bar aaj dekh to ye kaun hai baitha hua aag bhadkane ko nikli dil se aah tur par jo kuchh hua thoda hua ek tadap mein aur wo betab hon tu bhi ai dard-e-jigar itna hua sikh le hum se koi andaz-e-ishq so tera ye rang hai barta hua uth gaya jab un ke chehre se naqab zarra zarra dida-e-bina hua ek hangama tha un ko chahna aqraba mein hashr sa barpa hua sans ukhda nabz chhuti main chala hae tum ab tak na samjhe kya hua shahid-o-mina muqaddar mein nahin ba-khuda 'nazish' abas paida hua