ranj-o-gham dard-o-alam aah-o-fughan hai zindagi saikdon unwan ki ek dastan hai zindagi jal rahe hain khar-o-khas un ka dhuan hai zindagi shakh-e-gul par ek sulagta aashiyan hai zindagi dekhiye to ek habab-e-mauj-e-dariya bhi nahin sochiye to ek bahr-e-bekaran hai zindagi farsh-e-geti par farishton ne bhi himmat haar di wo gham-e-dil-doz wo bar-e-garan hai zindagi dard-o-kulfat se na ghabra ai 'mayank' is daur mein sabr-o-istiqlal ka ek imtihan hai zindagi