wo chup-chap aansu bahane ki raaten wo ek shakhs ke yaad aane ki raaten shab-e-mah ki wo thandi aanchen wo shabnam tere husn ke rasmasane ki raaten jawani ki doshizgi ka tabassum gul-e-zar ke wo khilane ki raaten phuwaren si naghmon ki padti hon jaise kuchh us lab ke sunne-sunane ki raaten mujhe yaad hai teri har subh-e-rukhsat mujhe yaad hain tere aane ki raaten pur-asrar si meri arz-e-tamanna wo kuchh zer-e-lab muskurane ki raaten sar-e-sham se ratjaga ke wo saman wo pichhle pahar nind aane ki raaten sar-e-sham se ta-sahar qurb-e-jaanan na jaane wo thin kis zamane ki raaten sar-e-mai-kada tishnagi ki wo qasmen wo saqi se baaten banane ki raaten ham-aghoshiyan shahid-e-mehrban ki zamane ke gham bhul jaane ki raaten 'firaq' apni qismat mein shayad nahin the thikane ke din ya thikane ki raaten