qissa-e-zist mukhtasar karte kuchh to apni si chaaragar karte maut ki nind so gae bimar roz kis sham ko sahar karte sach hai har nala kyun rasa hota mere nale the kyun asar karte khud wafa kya wafa ka badla kya lutf ehsan tha agar karte kar liya tere nam par sajda ab kahan qasd-e-sang-e-dar karte aas hoti to is sahaare par sabr mumkin na tha magar karte kash aaina hath se rakh kar tum mere haal par nazar karte tul-e-rudad-e-gham maaz-allah umr guzri hai mukhtasar karte gham ne mohlat na di ki hum 'fani' aur kuchh din abhi basar karte