zat mein maujud maujon ki rawani se utha zindagi ka lutf tarz-e-zindagani se utha ya mere logon ko de ya-rab samaat ka shuur ya meri aawaz gosh-e-la-maani se utha aaine ko aks ki zanjir se aazad kar chehragi ko khal-o-khad ki tarjumani se utha ek nai hi shakl paida kar shikast-o-rekht se ek naya mafhum apni raigani se utha ek bazu se utha tu mashal-e-manzil 'samir' aur safar ka bojh apne dast-e-sani se utha