sabhon se yun to hai dil aap ka khush agar puchho to hai hum se hi na-khush khushi teri hi hai manzur hum ko bala se gar koi na-khush ho ya khush rawaq-e-chashm o qasr-e-dil kiya sair na ki par aap ne yan koi ja khush jafa kar ya wafa mukhtar hai tu mujhe yaksan hai kya na-khush hai kya khush nahin us mein to ghair-az-jaur lekin mujhe kya jaane kya aai ada khush kiya hai garche na-khush tu ne hum ko rakhe par ai butan tum ko khuda khush khushi hai sab ko roz-e-id ki yan hue hain mil ke baham aashna khush bhala kuchh bhi munasib hai meri jaan ki ho tu aaj ke din mujh se na-khush bata aisi koi tadbir 'bedar' ki jis se howe mera dilruba khush