rah-e-guman se ajab karwan guzarte hain meri zamin se kai aasman guzarte hain jo raat hoti hai kaisi mahakti hain galiyan jo din nikalta hai kya kya butan guzarte hain kabhi jo waqt zamane ko deta hai gardish mere makan se bhi kuchh la-makan guzarte hain kabhi jo dekhte hain muskura ke aap idhar dil-o-nigah mein kya kya guman guzarte hain