rahe wo zikr jo lab-ha-e-atishin se chale chale wo dur jo raftar-e-satgin se chale hazaron sal safar kar ke phir wahin pahunche bahut zamana hua tha hamein zamin se chale khirad bani rahi zanjir-e-pa-e-shauq magar junun ke jitne bhi hain silsile hamin se chale furaat jit ke bhi tishna-lab rahi ghairat hazar tir-e-sitam zulm ki kamin se chale zamana ek hi raste pe la ke chhodega rawan hai ek hi dhaara koi kahin se chale guman-o-shak ke do-rahe pe hum se aa ke mile wo qafile jo kisi manzil-e-yaqin se chale hamein shikast-e-harifan ka bhi malal raha shikasta-dil jo hum us bazm-e-dil-nashin se chale tamam gumrahiyan dair aur haram mein palin tamam silsila-e-kufr ahl-e-din se chale 'wahid' sail-e-qayamat ne rah roki thi jo ban ke ashk hum us chashm-e-naznin se chale