zindagi naz kare jis pe wo pahchan bane

zindagi naz kare jis pe wo pahchan bane
dekhiye aaj ka insan kab insan bane

ek afsana mohabbat ka likha tha hum ne
aur duniya ke liye saikdon unwan bane

sabr aur shukr ki manzil se wo guzra hi nahin
jo pareshan na hua aur pareshan bane

kya kahun is ke siwa aur mohabbat kya hai
dil ki rag rag mein sama kar wo meri jaan bane

zindagi mein meri ek aisa bhi waqt aaya hai
jaanne wale mujhe dekh ke anjaan bane

ishq mein khana-e-dil donon ke viran rahe
mujh ko mehman banaya na wo mehman bane

chand kanton ke siwa shakhon mein rakkha kya hai
kaun aise mein gulistan ka nigahban bane

mil gaya jahd-e-musalsal ka sila mujh ko 'laiq'
kal ke gham aaj mere aish ka saman bane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close