suna hai ye jahan achchha tha pahle ye jo ab dasht hai dariya tha pahle jo hota kaun aata is jahan mein kise duniya ka andaza tha pahle badi taswir latka di hai apni jahan chhota sa aaina tha pahle samajh mein kuchh nahin aata ab us ki wo jo auron ko samjhata tha pahle kiya ijad jis ne bhi khuda ko wo khud ko kaise bahlata tha pahle bahut kuchh bhi nahin kafi yahan ab bahut thode se chal jata tha pahle ye diwaren to hain is daur ka sach khula har dil ka darwaza tha pahle